Posts

Showing posts from October, 2022

Poem - Bharat Kya Hai?

Image
 Bharat Kya hai? Kya yeh ek desh hai? Ya bhusha vesh hai? Kya yeh ek sandesh hai? Ya vicharon ka kalesh hai? Kya yeh voh bhoomi hai jispar maa dharti ghoomi hai? Kya yeh parvat hai ya jangal hai? Kya yeh sansarik hai ya swayam mei mangal hai? Kya yeh samudra hai ya yeh registaan hai ? Kya yeh India hai ya hindustan hai ? Bharat Kya hai? Kya yeh diggajon ka sthal hai? Kya yeh ek naya kal hai ? Kya yeh ek mayanagar hai ya choti si ek dagar hai? Kya yeh sampatti hai ya yeh gareebi hai ? Kya yeh ek doorasth soch hai ya ek sakha kareebi hai ? Kya yeh ahimsa ki dharohar hai ya veer gathaon ka sarovar hai ? Kya yeh apradh se peedit hai ya naari ka samaan hai ? Yeh Hindu Sikh Isayi Parsi Jain Jew ya Musalmaan hai ? Bharat Kya hai ? Kya yeh ghotala aur loot hai ya yeh satya ka doot hai ? Kya yeh jantantra ki garima hai ya sannate ki mahima hai ? Kya hai yeh pracheen ya adhunik ? Kya hai yeh chalaak ya shramik ? Kya yeh pradooshan hai ya hariyali hai ? Kya yeh paardarshi sheesha hai ya ek ul...